Mehndi mei specific style hona bahut zaroori hai kyun k yei dusre artist se apki design ko muktalif btata hai k dekhne wala jo hai wo foran bta sake k yei kis mehndi artist ka create kya hua design hosakta hai. kuch mehndi designers apne kuch specific floral designs ki waja se jaane jate hai, kuch potraits mei is qadar maharat rakhte hain k unke kaam ko dekh kar hi log foran se pehchan jate hai k yei style falan artist ka hi hosakta hai. Sakron mehndi artist mei apka style easily pehchan banta hai apke apne kaam ki k log dekh k bata dete hai k yei konse artist k hath ka kaam hai. Aaye kuch specific styles k hawale se jante.
Arabic mehndi style design:
Arabic mehndi designs ki khasiyat kuch youn hai, k un designs mei zyada se zyada bare bare bold flowers aur patto ka istemal kya jata hai jaise k roses and lotuses bahut popular in designs mei banaye jate hain, iske ilawa geomatrical shapes jaise k squares,triangles or different lines ka istemal kiya jata hai jo mehndi k look ko enhance karta hai. Arabic mehndi ek khoobsurat mehndi style hai jo dusre mehndi art style se bilkul hat k nazar aata hai jo waaze pata chalta hai k yei arabic style mehndi lagai gayi hai, ya phir yei mehndi artist arabic mehndi ka expert hai. Mujhe jahan tak tajarba hai yei mehndi style zyadatar musalmani culture mei pasand kiya jata hai jahan insani shaklon wali mehndi se mostly aitrazat samjhe jate hai.
Mughal art Mehndi style / figure art mehndi:
Mughal art subcontinent ki ek purani riwayat ka hissa hai. yei art form sab se zyada indian and pakistani culture mei pasand kiya jata hai. Mughal art ko traditional art samjha jata hai jo nihayati khubsurti se create kiya jata hai. yei hatho mei insani shaklein or full body postures jo k human anatomy kahlati hai, clearly create karne wala style hai. Mughal art mehndi mei aksar dulha or dulhan banaye jate hai, fullface, sideface, 3/4 faces bride and groom images jisko different check styles, florals or fillings se cover kiya jata hai, takey designs ko balance kiya ja sake aur mehndi k look ko attractive banaya jaske. isme kuch peacocks or tigers or other animals k bhi postures create kiye jate hai jo subcontinent k culture ki ek khas pehchan rakhte hai. yei motifs aese khubsurat andaaz se mehndi mei create kiye jate hai k aankhein dhang reh jaye k art agar duniya mei na ho ya duniya se chala jaye to zindagi bari hi berang si hojyegi. yei art ki khubsurti ko ubhaarta hai k yei bhi alag ek poshida field hai jisme bhi expertise hasil ki ja sakti hai
Potrait mehndi:
potrait mehndi mei experienced artist ki zarurat hoti hai, jo saalo se is field mei maharat rakhta ho or detail or accuracy k sath kaam kar sake. yei mehndi personal request par banayi jati hai jisme asal insan ki zaati shaklein jo photographs se match kar k banayi jati hai. is mehndi ka lgane wala sketching ka mahir bhi hoskta hai jo different art mediums pr kaam karne ki salahiyat rakhta ho ya phir aj kal aese tutorials available hai internet par jisme kuch aesi easy tricks btai jate hai k easily koi bhi mehndi artist jisko perfect mehndi lagane aati ho unse sikh kar implement kar sakta hai. wese potrait ek khubsurat art form kahlati hai jisse zaati tasaweer ya phir koi imaginery shakal jo apke khayalo ka hissa hai ap hatho pr utaar sakte hain potrait mei sirf chehra or kandhay tak insan ki picture create ki jate hai agar body banai jaye to wo phir figure art kahlata hai. yei mehndi indian culture mei zyada chalti hai magar ahista ahista pakistan, bangladesh or bahut se mumalik mei bhi iski demand bhar rhi hai.
Pakistani mehndi:
pakistani mehndi basically kuch art forms ka mixture hai. yahan different subon(province) k apne different cultures hai jahan different styles pasand kiye jate hai jaise balochi log zyadatar arabic cuts and motifs ko pasand karte hai, wai agar hum sindh ki taraf aye to yahan ajrak style, uroosi mehndi jo k bareek fillings se bharpoor hoti hai pasand ki jati hai, wahi agar hum punjab ki taraf dekhein to phool or patto wala style bareek andaaz mei pasand kiya jata hai or province kpk mei bhi phoolon wala style zyada popular hota hai jisko bareek fillings se balance kiya jata hai. pakistani mehndi mixture hai indian, arabic, or uroosi mehndi ka, par depend karta hai customer ki choice par k wo konse artist k kaam ko pasand karte huye us artist ko apne tyohaaron or shadiyon k liye hire karna zaruri samajta hai. wahi baat ajati hai ek mehndi artist ki skill/expertise or uska design pr command hi usey client hunt karne mei madad deta hai.
Indian mehndi style:
Indian mehndi ko hum kaise bhul sakte hai, jahan baat pakistani mehndi ki kar li to ab aate hain indian mehndi par jiska popular motif keri hai. Keri ya kaaju, yei ek aesa motif hai jo phoolo k sath istemal kar k design mei create kiya jata hai k dekhne wala heran reh k is qadar khubsurti se mehndi lagai gayi hai. Mostly indian mehndi mei checks paye jate hai par, aj kal potraits, mughal art designs , figurative mehndi ka rujhaan bharta jara hai jisne logo ki akal ko dhang kar rakha hai k art ki ek aesi form bhi hosakti hai. kal tak jo art sirf canvas par bante the aj wai mehndi ki surat mei hatho par bhi banaye jare hai. pakistan mei chehre wali mehndi pr kuch aitraazat hone ki waja se yei art form puri tarha pakistan mei nahi apaya abi tak but indian artists ki karkardagi se mutasir log ab pakistan k kuch areas mei dulha/ dulhan apni hathelio par banwana pasand karte hai. lein india mei yei mehndi is qadar advance level par lagai jate hai jisme na sirf different dulhan/dulha styles balke insan ki apni photographs, animals or kuch unke mazhabi motifs bhi dekhne ko milte hain.
Uroosi mehndi:
Ab baat karte hain uroosi mehndi ki, uroosa ka matlab arabic language mei Aurat ko kaha jata hai. is mehndi ka mashoor mehrab muslim culture ki image ko zahir karta hai. Mehrab ko hum masjid k gumbad se tashbi dete hai, jisme bareek filling bhari jate hai. khas tor par is mehndi mei bareek chatai ka istemal bahot hi common dekhne ko milta hai. but aj kal is ki bharti demand ki waja se isme different varieties bhi create ki jate hain jisme different floral designs doran e mehndi create kiye jate hain khas tor par finger par bhi dekhne ko milte hai. yei mehndi ek aesi mehndi hai jisme hum koi bhi indian cut , arabic flower ki layers ko use karte huye isko create kar sakte hain. magar is mehndi ki pehchan iski bareek filling or iska mehrab hai so is mehndi ko different uniqueness provide karta hai dusri mehndi styles se.
Rajhasthani mehndi:
Rajhasthani mehndi ka naam sunte hi ap k zehan mei ek cheez aayi hogi k yei indian mehndi style hai ofcourse. Rajhasthan mei is mehndi ko royal families apni ibadat samajhte hai. yei sirf tyohaaron par hi nahi balke normal days mei bhi lagayi jate hai. wahan ki aurtein bhi mehndi ki shoqeen kahlati hai jo apne hatho pr apne hi culture se related designs banwana pasand karti hai. aur to aur baat yei hai india k art ka muqabla koi nahi jis tarha inke artist hatho par handiyan, matkiyan, dholak, guitar, sitaar or different musical instruments khubsurti se create karte hain dekh k akal dhang reh jate hai k kisi ne agar art ko asal tor par promote kya hai to wo india hai. wahan k artists ka or unke kaam ka koi muqabla nahi although, worldwide bhi ache artist paye jate hain lekin zyadatar unka focus floral designs par hota hai, lekin human anatomy ko kis tarha hatho par utarte hai yei hume indian artists se sikhna chye kya art hai unka bilkul lajwaab.
in different mehndi styles ko discuss karne ka matlab sirf yei hai likhne ko to hum kitabein bhar dei yei wo topics hai lekin, likhne ka maqsad sirf yei hai k har mehndi artist ko apna ek specific style develop karna bahut zaruri hai. kyun k yehi style apki uniqueness ko define karega k yei falan artist hai iska style yei hai agar floral designs lagwane hai to isse achi mehndi hume nahi mil skti. maqsad yei hai apka unique style apko client hunt karne mei behter kirdar ada kar sakta hai. kyun k mix mehndi lagane wala jo artist h wo chal to sakta hai lekin longrun mei kaam ko large scale pr lejane k liye uska display bahut important hai jo customer k minds mei apka brand name position karta hai. Apka unique style apki kamyabi ki waja banta hai.
stay connected for more informative blogs guys thanks for your support.