Mehndi ek aesa hunar hai k agar artist sadak par bhi beche to usko faida hoga, farq bas itna hai k wo apni skill ko kis tarha logo ki tawajja lene par lagata hai. kya wo simple wohi designing bana raha hai jo aam parlors mei har koi kar rha hai ya phir? wo art bechna chahra hai. yei ek bara sawal hai ya phir wo baat hai jis par koi baat karta nahi hai. but aaj mei apne blog k zariye btaungi zarur k kyun ek artist ko apne waqt ko barbaad na karte huye aage bharna chaye. salons mei khud ko waste karne se behter hai ek artist apne working ko update karta rahein aur apni PR ko market mei strong kare.
1.Limited freedom for creativity:
salons mei mehndi artists ko aksar predefined patterns follow karne parte hain. jisme wo apni creativity ko to dikhata hai lekin woh bara hi limited way mei design create karta hai, jo salon k clients pasand karte hain, usme usko zyada mouqa nahi milta k wo apni designs par independently work kar sake. Mehndi artist ka apna personal style kya hai yei to client tak pohch hi nahi pata, kyu k artist ko itna freedom diya hi nahi jata k wo apni marzi ka koi style lga sake jo clients ki tawajja ka markaz bane.
2. lower earning potential for mehndi designers:
salons mei jo mehndi designers bethe hote hain, aksar unhe fixed salary di jati hai ya commissioned works offer hote hain jo unke kaam k mutabiq nahi hote. iska saada sa matlab sirf yei hai k salons saada zaban mei “High quality designs in lower rates” yei ek fact baat hai. salon owners mostly apne profits k liye ya apne clients ko khush karne k liye mehndi artist k potential ko nazarandaaz kardete hai. independent working mei kam se kam yei hota hai artist apne rates khud set karta hai or apne hisaab se client ko deal karta hai aur apne potential k mutabiq client se charge karta hai. salon mei lagi mehndi or real artist k through lagi mehndi mei difference ki waja yahi hai. Kyun k jab artist ko uska haq thik se nahi milta to wo perfectly designs deliver bhi nahi karta hai jo customer k interest k mutabiq ho.
3.salon charges high but pay less to mehndi designers:
yei baat bhi haqeeqat hai, k salons aksar apne profit k chakkar mei artists ko ragarte hain or unhe kam pesay dekar apne kaam nikalwate hain. jis chakkar mei mehndi artist aksar frustration ka shikaar hote hain, jiske natije mei ya to wo apni field se badzan hojate, kyu k unka confidence shake hota rehta hai, jisse wo rethink karte hain k kya yei field unke liye hai bhi ya nahi. jab ke mehndi ki field bahut hi behtreen field hai bas hum roadmap galat lelete hain jis ki waja se hum distract hote hain apne kaam se. bahut se artist is hawale se badzan hokar field ko kherabaad kah dete hai. jabke aesa nahi hona chaye. but kya kah skte hain isi ko passion kahte hain k is challenge ko face kiya jaye or track par rehte huye clients ko services dete rho aur field continue karo.
4.lack of personal branding:
jab mehndi designers salon mei kaam karte hain to unki personal branding mushkil hoti hai, kyu k nam salon ka prominent hota rehta hai. koi recommendation agar satisfy client dega bhi to artist ka nam shayad na le wo kahe k falan salon se lgwai hai. islye personal branding k liye social media, websites or personal client public relations apke personal brand ko strong karta hai jisse client direct apke paas ata hai or apko apke skills k pase bhi ache milte hai.
5. No networking and direct client relationships:
Baat ko easily heading se samjha jasakta hai k jab ek mehndi designer salon mei serve karta hai to client se direct communication possible nahi hopata kyun k mostly client ki dealing or payments sab salon k main reception se ho kar guzarti hai jisse client or mehndi designer ka ek jo bond hai wo build-up nahi hopata. matlab agar artist na samaj sakein k client ko kya deliver karna hai to client complains b salon dealer se hi karega wo direct designer se baat karega hi nahi aur main uska jumla yehi hoga k mein jo chahra hun mujhe nahi milra please designer ko guide kare k mei kya chahra hu. to yahan networking na hoskti hai na hopayegi to direct relationship to possible hi nahi hai. independent artist humesha client ko khud se deal karta hai uski needs ko samajta hai phir usey service deta hai to usme shikway shikayaton ka chance bahut kam hota hai plus client ka pesa bhi wasul hota hai.
6.career growth limitation:
salons mei designers ki growth us salon k structure par depend karti hai k kitna high class salon hai ya normal salon hai. plus usk clientele kitna hai aur mehndi ki demand kya hai is salon mei wo bhi matter karta hai. designing ki practice ki hadh tak salon thik hai but aage grow karne k liye mostly opportunities salon se designer ko nahi milpati. jo key uske liye kafi frustrating hota hai ek waqt k baad designer ko samaj ati hai k mei apna time properly utilize nahi kar para jisse wo stress mei chala jata hai. independent artists k paas agar bookings available na ho to wo mehndi cones bhi sell kar sakta hai, apne courses or tutorials bhi offer kar sakta hai, i mean wo jo chahe kar sakta hai jis din mood ho client le jis din na ho na le boss apna kaam apna hota hai or nokri nokri hoti hai. plus ap internationally bhi apna kaam promote kar sakte hain, fashion shows mei PR bana sakte hain, wedding photographers ko approach kar sakte hain, bahut kuch ap kar sakte hain jo k salon mei rehte huye possible nahi hai.
7.Time management worst scenerio for mehndi designers:
Salon owners bolta hai dont take offs, work for fixed hours or extra hours. bahut mushkil kardete hain jeena ya phir sans lena.aapka apna personal to kuch bachta hi nahi hai wo bole to sou aur wo bole to jaago, kahaani yahan phasti hai. Independent artist mei aesa nahi hota, wo apni marzi se client leta hai agar usko samaj mei nahi aata k us client ka kaam kare to mana bhi kar sakta hai, lekin salon mei chahe client or apki bond ban rahi ho ya na ban rahi ho aapne karna hi karna koi choice nahi hai or client apko beizzat bhi karta rehta hai incase agar wo satisfy nahi hora hota. kyun k us bichare k paas bhi option nahi hai or ap bhi mana nahi kar sakte kyu k you are “on job, saying yes boss”. This is the whole scenerio. to behter hai independently kaam kare bhale kam kaam kare par acha kaam kare kyun k yei long term mei apka client apke pas retained rahega repeat hota rahega. otherwise dealing salon ki hogi or sunna apko parega kyu k apka or client ka communication lacking hai na apki galti hai na client ki galti hai. aapko apne personal life k liye time nahi milta, apko apne special events k liye time nahi milta. time flexibility ka bahut issue rehta hai.
8.Developing your own style, your own niche market:
wahi jase mere pahle blogs mei likhti hun abi bhi wahi likhi hun. salon mei apko mass client milta hai mante hain. lekin usme jo client mangta hai wai design dena hai ap ne, apki apni koi choice nahi hoti. aese client bahut kam ate hain jo bole laga do acha sa kuch bhi. to yei chis apke talent ko limited karti hai plus ap ko pata nahi chal pata k ap konse style mei maharat rakhte hain arabic , indian, pakistani, potrait, figures apko pata hinai chalta. ap mix achaar banjate hain. aap aese doctor ban jate hain jo galey mei dard ki bhi dawai deta hai, tang mei dard ki dawai bhi dedeta hai, or heart attack ki dawai bhi dedeta hai. yahan apki pehchan banna mushkil hai client tikana mushkil hojata hai q k specific koi style nahi haina. hosakta hai k kisi dusre designer ne lgaya ho or client apko bole k mei pahle se hi lgwate aya hun abi bhi wesa hi kaam karna hai apko kya pata k wo konsa design lga k gya tha pahle?? so think on it.
9.Personal satisfaction and growth as a mehndi designer :
salon mei kaam karte waqt aksar apko apni creativity or potential ko use karna mushkil hota hai. kyun k baat charges par bhi depend krti hai salon mei apse bola jata hai k is length se zyada kaam nahi karna or yei specific style hi lagana hai, wahan par ap kuch kar nahi sakte. although salon ka tajarba bhi zarur hai q k wo apko introduce karne k kaam ata hai lekin ek waqt k baat is sideeffects bhi hai worst case scenerios bhi hai. apko lagega k ap personally satisfy nahi hore, ek to jo mehnat ap kare hote hain us hisaab se apko pase nahi milte or ap apni marzi se kaam nahi kar sakte, client se zyada baat nahi kar skte, is waja se bhi apne hunar ko salon mei waste karne ki bajaye ap as an independent artist k tor par kaam kare jahan full manual control apke hath mei client se proper dealing or client service tak client bhi mutmaeen rahe or aap bhi.
Conclusion
yei sab batane ka maqsad sirf yei hai salon mei kaam zarur kare but waqt k sath sath apne apko upgrade karna bhi bahut zaruri hai. salon mei introduce hone se lekar apki mehndi speed tak ka safar katte katte saalo guzar liye, ab apni pehchan banane k liye zero se start karein or apne apko is field mei grow karte rhen. mehndi designer sari zindagi salon mei betha rhega to uska haal us kunwe k mendak jesa hai jo kunwe par betha rehta hai k pani us kunwe k ilawa usse kai or se milega hi nahi to wo kunwe ka mendak hi reh jata hai phir. yaad rakhiyega kisi shayer ne kaha hai k “sitaaron se aage jahan aur bhi hain” baki samajdar hai apne liye behter faisley kare.