kisi bhi kaam ko karte karte hum yei bhul jate hai prayers are very important.
Namaz/ dua :
yei baat mujhe kahi saal is field mei guzarne k baad samaj aai k namaz ki pabandi kis qadar zaruri hai. kyun k jab hum focus se kisi kaam ko kar rhe hote hain ya shuru kar rhe hote hain to hum yei bhul jate hain humare parwardigaar ki madad us kaam k lye kis qadar zaruri hai. beshak mehnat zaruri hai patience zaruri hai lekin bagair apne parwardigaar ko yaad kiye apne mazhabi faraiz ko anjaam diye hume kamyabi milna bahut mushkil hota hai, namaz, deen se qurbat hi hume humare har maqsad mei kamyabi ata karti hai. humare liye best yehi hai k hum mehnat kare or phir sabar or namaz se apne parwardigaar se madad talab karein.
Daily mehndi practice :
Aj kal is qadar trends ka dour hai k tabdeeli bht hi teiz hochuki hai is jadeed dour mei kisi bhi business ko success milna or phir us success ko maintain karne k liye hume daily new trends ko follow karte rehna parega, otherwise hum page se out bhi ho sakte hain, new trends ko apni daily practices or mehndi designing mei apply karte rehna parega isi tarha hum apne purane customers ko retain rakh sakte hai or new client hunt karne mei bhi yei bahut madadgar sabit hosakta hai. Daily practices se humari kaam mei finishing bhi aate hai or client ko new variety ka exposure bhi hum de sakte hain jisse client humare kaam ki quality ka andaza karta hai aur hume hire kar leta hai. Baki rozi ka razzaq parwardigaar hai, sab kuch uske hath mei hai. koshish,mehnat,namaz or sabar hi kamyabi ki asal kunji hai
Public relations (PR) :
Mehndi business ko kamyab banane k liye yei bahut zaruri hai k humari market mei PR kitni achi hai. kyun k PR hi yei decide karegi k humara client hume kase approach karega. isme sab se best humare old client recommendations ho sakte hai or best hum socially kitne active hain yei bhi ek major role play kar sakta hai.
social media presense:
Mehndi business mei client hunt karne k liye social media presense bahut zaruri hai. kyun k mehndi ek art hai or art ka display mahine rakhta hai. jis qadar apka kaam attractive nazar ayega yei cheez clients banayege or logon ko attract karegi k wo apko apne events k liye hire kare. kyun k yei cheez aesi hai k jase log kisi bhi khubsurat cheez ko dekh k uski taraf attract hote hain or usey khareedne ki khuwaish zahir karte hain bas wesae mehndi wo art form hai k jitni finishing se artist isko apply karega logo ki tawajja ka markaz banega aur log usse projects denge. aur apne kaam ko best display karane k liye social media se behter aj k dour mei koi cheez nahi hai. whether wo apka facebook profile, facebook page, youtube channel, instagram, ya phir pintrest. yei wo platforms hain jahan mostly artist apne kaam ko display kar sakte hain or cleint hunt kar sakte hai.
client trust is very important:
jo dikhaya ja raha hai ya promise kiya ja raha hai usko deliver karna ek ache mehndi artist ki responsibility banti hai. ek acha mehndi artist sirf apne kaam se nahi balke apni zabaan se bhi pehchana jata hai. or yehi kaam or zaban uska competitive advantage hota hai jo uski uniqueness ko define karta hai. agarcha client baazdafa bahut behas karta hai rates dene k liye but if apko wo rates samaj mei aate hain tabhi ap us client ko done kare otherwise agar ap ka dil nahi manta k ap us client ka kaam lena chahte hain to usse jane de, lekin agar ap kam rates mei discounts mei service de rhe hain to phir service ki quality kharab na karein isse client ka trust b kharab hoga or further recommendations milna bhi ek challenge ban sakta hai.
New Mehndi designs reinvent:
client hunt karne k liye apko new designs par kaam karte rehna parega because yei zaruri hai har chis update mangti hai. purani cheezo se logo ka mann bhar chuka hota hai. iski kuch tips yei ho sakti hai k designs k style ko, cuts ko change kardya jaye jisse client mutasir honge aur apko baar baar apne events mei bhulate rahenge.
politeness is important:
Although, ap ek acha client base ready kar chuke hai, wo apse mutmaeen hai lekin baaz dafa heavy workload hone ki waja se ek mehndi artist ko stress hosakta hai jisse uske nature mei paye jane wala gussa or chirchirpan normal baat hai. lekin, is chis ko client ko samjhana bahut mushkil hota hai kyun k mostly jab hum client ko home services provide karte hain to usse yei nahi pata hota k hum kya mushkilat face karte hain apne kaam mei aur raaste mei kin dushwariyon/challenges ka hume samna karna parta hai tabhi hum client tak pohchte hain us surat mei jab client hume irritate karta hai k thore pase mei extra services dedi jaye ya uske personal questions ko face karna bhi challenging hota hai jiska humare kaam se koi taaluq nahi hota us surat mei hume bahut hi politeness ka muzahira karna parta hai takey cleint humse aage bhi services leta rahe.
Customer problems:
baazdafa, customers humse kuch aesi batein kar jate hain jo unki personal life se related hoti hai, us surat mei hume chaye k unko thande dimag se suna jaye, or doran e service aesi koi baat na ki jaye jisse client ko mazeed stress ho aur uska dil humse khatta hojye. Homeservices mei aesa aksar hota hai k client k ghar mei kuch mahol aesa bhi hota hai jo mehndiartist k liye nagawaar guzrta hai jase bacho ka shor, mehmano ka ana jana, ya humari most popular loadshedding 😉 karachi walo ki favorite 😀 , us situation mei koshish kare apne apko calm rakhein or apni speed ko teiz rakhein takey jald hi ap service ko khatam kar k wahan se left kar ske, but shart hai k speed mei kaam ki quality kharab na ho.
speed of mehndi artist :
speed defines a professionalism of mehndi artist. client aksar impress rehte hain apke work ki speed se, means k ap ke kaam mei kis qadar finishing hai yei bhi bahut matter karta hai. zyada speed or finishing, kam waqt mei zyada clients kar sakte hai, yei technic client ko bahut mutasir karti hai. afterall, we all know k time is very precious for us(artists) and them (customers). kam waqt mei zyada clients karna bhi client ko sochne par majbur kardeta hai k yes is artist ko ek chance aur milna chye. azma k dekhyega 😉 apki dost jhut nahi bolre.
other mehndi artist colloborations:
is field mei baazdafa hum samajhte hain k apne competitors se hath milana is not a good choice, but aksar hum yei bhul jate hain hum akale apne kaam ko manage karte karte thak jate hain ya workload humse handle nahi ho pa raha hota, to isme zaruri yei hai k humare field mei kuch aese dost zarur ho jinse hum apne dil ki baat share kar sake. hosakta hai humse senior artist humko as a junior pasand kare or humare understanding itni achi ho k unki advice se humare business ki kuch problems solve karne mei wo humare madad kare. aksar humse senior hume apne kuch projects/orders outsource bhi kar dete hain jahan unki availability mushkil hoti hai lekin yei tabhi hoga jab wo hum mei apna dost dekh sakenge tabhi wo humari madad karenge, jisse hume un dino mei bhi help milegi jin dino mei humare paas clients nahi hote. isse hume unke cleints pr bhi ek exposure milta hai
create your own unique style:
As an artist, its very difficult k hume humara asal interest malum hojaye. itne saalo mei mene ek cheez samjhi hai k client kuch bhi mangta hai. phir hume ghar k expenses bhi dekhne hote hai to hum bhi mana nahi karpate. but mehndi mei apna unique style create karna or usse maintain karna bahut zaruri hai, kyu k jab tak hum is chis ko nahi samjhege k hum konsa style sab se zyada behter kar sakte hain hum success maintain nahi kar skte. yei sochna zaruri hai k kya hum floral design behter karskte hai, potraits mei ache hai, figure art mei ache hai, miniature workstyle, ya phir arabic, ya bareekh mehndi, moti mehndi, ya phir mixture of 2 or three styles. yei identify karna bahut zaruri hai k konsa style humara best hai or konsa style hum behter se behter kar skte hain. yei customer k dimag mei humare brand ko positioned karega k agar specific style lgana ho to falan artist best hai. kyun k sare styles hum bahut ache nahi laga sakte, har mehndi artist ka ek unique style hota hai wae uska style kahlata hai or uski mashoori uske us style par depend karte hai
Ap sab se yei tips share karne ki waja sirf yahi hai k yei mera as a mehndiartist personal experience hai, jo mene apni 7 years ki journey se sikha hai aur mei har naye ane wale artist ko sirf yei guide kar na chahti hun k har field k kuch challenges hote hain humare field (mehndi business) k yei challenges hai inko overcome kar k apne business ko unchaaiyon par le jana bahut hi helpful hosakta hai.